Libaas hai phata hua, ghubaar mein ata hua
tamaam jism e naazneen, chida hua, kata hua
yeh kaun zeewaqaar hai, bala ka shahsawaar hai
ke hai hazaaron qaatilon, ke saamne data hua
yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
ke jiski eik zarb se, kamaal’e fann e harb se
kai shaqi girey huey, tarap rahe hain karb se
ghazab hai teighay do-sarr, ke eik eik waar par
uthi sadaa’e "alamaan", zabaan e sharq o gharb se
yeh bil yaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
yeh kaun haq parast hai, maey redha se mast hai
ke jiske saamn’e koi, buland hai na pust hai
udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai
ke eik se hazaarha ka hausla shikast hai
yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
aba bhi taar taar hai, to jism bhi figar hai
zameen bhi hai tapi hui, falak bhi shola baar hai
magar ye mard e teigh zann, ye saff shikan, falak figan
kamaal e sabr o tandehi se mahwe kaarzaar hai
yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
dilawari mein fard hai, bara hi sheir e mard hai
ke jiske dabdab’e se, dushmanon ka rung zard hai
habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye
jabhi to iske saamney, ye fauj gard bard hai
yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
udhar sipaah’e Shaam hai, hazaar inteqaam hai
udhar haiN dushmanaan’e deeN, idhar faqat Imam hai
magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai
ke jis taraf uthi hai teigh, bas Khuda ka naam hai
yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai